Thursday, April 06, 2006

Kahan se itna gam aa gaya is duniya mein, jab bhi koi Ghazal soonta hoon lagta hai, gam bhi kya cheez hai, bada mast hai, itni dooa agaar khushi ko milti to hur din ek diwali hoti, ya ye kahu ke diwali ki roshni ki chamak gam ke wajah se hi itni roshandaar, itni sundar hai. Latabai ki awaaz main ye ada hi sundar ghazal suni ... uske labj niche hai, kitna kuch hai kehne ko, kahi kabhi apne ko hi sunane se fursa kaha...
Dard se mera damaan bhar de ya allah
ya phir mujhko diwana bana de ya allah
maine tuhjse chand sitare kab maange
Roshan dil bedaag dil de ya allah
phir chahe diwana kar de ya allah
Dard se mera damaan bhar de ya allah
Suraj si ek chiz to hum sab dekh chuke
sach much ki ab koi sahar de ya allah
phir chahe diwane kar de ya allah
Dard se mera damaan bhar de ya allah
Ya dharti ke zakhmo par marham rakh de
ya mera dil pathar karde ya allah
phir chahe diwane kar de ya allah
Dard se mera damaan bhar de ya allah

No comments: