Tuesday, July 11, 2006

Saas

Khali si hai sasein
Atak gayi hai jaise
ki kahin maut ka manzaar
nazaar aa gaya kahin
Pukaar ta hoon par
nahin soonta hai koi
chup chap sooni si
gali mein matam
mana rahein hai sabhi...



Friday, May 19, 2006

Sub kuch dekhta hoo
phir bhi chuppi sadhe hoo
ye kaisi marzi hai teri
ya allah.

Monday, May 15, 2006

Baaat

Mujhse baat karo
ay duniya walo
Tum mujhe apni
taswiro mujhe kaha paoge
(Talk to me[O, ppl in the world],
You wont find me in your imaginations)

Friday, May 05, 2006

Fasaana

shayad mai khud ek fasana hoon
is liye koi badai ka bahana dhoondte hai
warna hum to bus ek laash hai
jise sirf apne kabr ka intezaar hai

Patthar

pathar ko kya pyaas lage
usme sina kaha
hum bhi ek pathar hai
sange mur mur ki tarah dikhe to kya

Jalwe

jalwe duniye ke hame raas nahi aate
haarsoo koi cheez hai jo dikhto hai
kash aisa ho ki hum mit jaye
apne zindigi ko abaad kar jaye

Thursday, April 06, 2006

looft uthati hai ye duniya
hum bhi apna kabhi kahbi
tamasha bana lete hai...
Aa jata hai rang kisi ka
khumar is tarah se
reh nahi jata phir
kuch bhi aisa bhi hota
phir tanhai ke saath
apne zahen ki dariya mein
gota lagate hai hum phir
shayad kuch yaad aaye na
hum apni hi masti mein
jhoom lete hai

Kahan se itna gam aa gaya is duniya mein, jab bhi koi Ghazal soonta hoon lagta hai, gam bhi kya cheez hai, bada mast hai, itni dooa agaar khushi ko milti to hur din ek diwali hoti, ya ye kahu ke diwali ki roshni ki chamak gam ke wajah se hi itni roshandaar, itni sundar hai. Latabai ki awaaz main ye ada hi sundar ghazal suni ... uske labj niche hai, kitna kuch hai kehne ko, kahi kabhi apne ko hi sunane se fursa kaha...
Dard se mera damaan bhar de ya allah
ya phir mujhko diwana bana de ya allah
maine tuhjse chand sitare kab maange
Roshan dil bedaag dil de ya allah
phir chahe diwana kar de ya allah
Dard se mera damaan bhar de ya allah
Suraj si ek chiz to hum sab dekh chuke
sach much ki ab koi sahar de ya allah
phir chahe diwane kar de ya allah
Dard se mera damaan bhar de ya allah
Ya dharti ke zakhmo par marham rakh de
ya mera dil pathar karde ya allah
phir chahe diwane kar de ya allah
Dard se mera damaan bhar de ya allah

Saturday, March 18, 2006

Patta nahi

Gam-e-shad bhi chod deti hai
Saya aarzoo ki nikaal padi
Aarmano ki doli pe
Ik miri laash bicchi hui
Jukha hai aasma bhi
nahi sur utha sakta
Khooda ki kya bisaat hai
wo bhi bekaar karar diya
Jumla insaa kehta hai
magar kur deta hai hai kuch
yoo hi apna sine pe
khanjar dooboye hue
Na malum hai kab se
chali aa rahi ye daastan
apni raah chod kar
bhatak gaya insaa....